Tuesday 18 June 2013

Balam Pichkari

Balam Pichkari jo tune mujhe mari
Toh bole re zamanna kharabi ho gayi
Mere aang raja
Jo tera aang laga
Toh sedhi sadhi chori sharabi ho gayi

Itna mazza kyun aa raha hain
Tune hawa mein hain bhang milaya - 2
Dugna nasha
Kyun ho raha hain aankhon se meetha doodh khilaya
O teri malmal ki kurti gulabi ho gayi
Manchali chal kaise nawabi ho gayi
Balam pichkari jo tune mujhe mari
Toh seedhi sadhi chori sharabi ho gayi
Jeans pehanke jo tune mara thumka
Toh lattu padosan ki bhabi ho gayi
Balam pichakari….

Teri kalayi hai
Hathon mein aayi hain
Maine marora toh lagti malayi hain
Mehenga padega yeh
Chaska malai ka
 Upwas karne main teri bhalayi hain
Ho bindiya teri mehatabi ho gayi
Dil ke armanon mein behisabi ho gayi
Toh balam pichkari…..
Ho..kyun No Vacancy ki hothon pe gali hain
Jab ki tere dil ka kamra toh khali hain
Mujhko pata hain re
Kya chahta hain tu
Boli bhajan tere niyat Qawwali hain
Zulmi yein hazir jawabi ho gayi
Tu toh har taale ki aaj chabi ho gayi
Toh balam pichkari……
Lyrics: Amitabh Bhattachary; Singer: Vishal Dadlani & Shalmali Kholgade; Music: Pritam; Movie: YJHD

Friday 10 May 2013

Tu hi yeh

Tu hi yeh mujhko bata de
Chahoon main yah na
Apne tu dil ka pata de
Chahoon main ya naa 2

Itna bata dun tujhko
Chahat pe apne mujhko
Yun toh nahin ikhtiyar
Phir bhi yeh socha dil ne
Ab jo laga hun milne
Poochon tujhe ek baarr ..o..
Tu hi yeh…

Aisi kabhi pehle
Hui na thi khwahishein
O..kisi se bhi milne..
Ki na ki thi koshishein
Uljhan meri suljha de
 Chahoon main yah na
Aankhon ankhon mein jata de
Chahoon main yah na

Mere chote chote khwab hain
Khwaboon mein geet hain
Geeton mein zindagi hain
Chahat hain, Preet hain
Abhi main na dekhun khwab ko
Jin mein na tu mile
Ni khole honth maine
Ab tak the jo sile
Mujko na jitna mujhpe
Utna is dil ko tujhpe
Hone laga aitbaar
Tanha rahon mein apne
Bunti hoon tere sapne
Tujhse hua mujhko pyar o ..
Poochongi tujhko kabhi na
Chahoon main ya na
 Tere khwaabon mein ab jeena
Chahon main ya na
Tu hi yeh…..
Movie: Aashiqui 2; Singer: Arijit Singh & Palak; Lyrics: Irshad Kamil;  

Friday 19 April 2013

Tum hi ho

Hum tere bin ab rah nahin sakte
Tere bina kya wajood mera
Tujhse juda agar ho jayenge
Toh khud se hi ho jayenge Juda

Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho
 Chain bhi mera dard bhi
Meri aashiqui ab tum hi ho

Tera mera rishta hain kaisa
 Ek pal dur gawara nahin
Tere liye har roz hain jeete
Tujhko diya mera waqt sabhi
Koi lamha mera na ho tere bina
Har saans pe naam tera
Kyunki tum hi ho….

Tere liye hi jiya main
Khud ko joy un de diya hain
Teri wafa ne mujhko sambhala
Sare gamon ko dil se nikala
Tere saath mera hain naseeb juda
Tujhe pa ke adhura na raha

Kyunki tum hi ho….
Film :Aashiqui 2; Singer: Arijit Singh; Music: Mithoon

Monday 11 March 2013

Teri Jhuki Nazar

Chahe kuch na kehna
Bhale chup tu rehna
Mujhe hain pata tere pyar ka
Khamosh chehra aankhon pe pehra
Khud hain gawah tere pyar ka
Teri jhuki najar teri har ada
Mujhe keh rahi hain yeh dastan
Koe shakhs hain jo ki in dino
Tere zehn-o-dil pe hain chaa gaya
Teri jhuki najar….

Teri julf jab bhi bikhar jati hain
Aye haseen tu  haseen aur bhi ho jati hain
Jo kitabon mein padte rahe aaj tak
Who pari humko tujhmein nazar aati hain

Teri hi bahon mein panahon mein
Rehna mujhe har dam sada
Teri hi yadon mein nigahon mein
Rehna mujhe har dam sada
Teri hi bahon mein panahon mein
Rehna mujhe har dam sada..

Chahe kuch na kehna ……
Movie: Murder 3; Music: Pritam; Singer: Shafqat Amanat Ali; Lyrics: Sayeed Quadric

Friday 1 March 2013

Manjha

Roothen khwabon ko mana lenge
Kati patango ko thamenge
Haa haa hain jazba
Ho ho hain jazba
Suljha lenge uljhe rishton ka manjha
Hmm ka manjha, hmm ka manjha
Soyi taqdeeren jaga denge
Kal ko ambar  jhuka denge
Haa haa hain jazban
Ho ho hain jazban
Suljha lenge uljhe rishton ka manjha
Hmm ka manjha, hmm ka manjha

Ho ho barfeli aankhon mein
Pighla sa dekhenge hum kal ka chehra
Ho ho pathreele seene mein
Ubla sa dekhenge hum lava gehra
Agan lagi, lagan lagi
Kal hoga kya keh do
Kis ko hain parwah
Parwah..parwah
Singer: Amit Trivedi; Lyrics: Swanand Kirkire; Movie: Kai Po Che

Thursday 24 January 2013

Baiman

Baiman, dil bada baimaan
Hota nahin hain aasaan, isey hain samjhaana
Baiman, dil bada baimaan
Tere liye shaitan, meri na ik mana

Dil jeete ya main jeetu
Dekhungi dekhega tu
Lo dil se sharat lag gaye
Mujhe toh teri latt lag gay, lag gayi
Zamanna kahe latt yeh galat lag gayi (2)
Mujhe toh teri aa..aa….

Roku  jitna utni bagawati ho
Lagta hain aisa hal-e-dil ki tum zaroorat ho (2)
Mujhko bhi tu zaroori
Tu bhi nashe mein puri
O kaise yeh talab lag gayi
Mujhe toh teri ….

Ek tu, ek main, ek baat hue apni
Hairaan hain kyun saara jahan
Jo raat hue apne (2)
Mujhse tu aake mila
Toh yeh hua hain sila
Ki sau tohmat lag gayi
Mujhe toh tere….
Singer : Benny Dayal & Shalmali Kholgade, Music : Pritam; Lyrics: Mayur Puri; Movie: Race 2

Thursday 17 January 2013

Khamakhan Nahin

Halki halki aahen bharna
Takiyen pe saar deke dheme dheme
Sargoshi mein baaten karna
Pagalpan hain aise tumpe marna
Ubla ubla kyun lagta hain
Yeh badan yeh jalan toh khamakha nahin
Khamakha nahin
Yeh khalish jo hain, woh khamakha nahin
Haan tapish toh hain, par khamakha nahin

Jo nahin kiya karke dekhna
Saans rokke marke dekhna
Yeh bewajah, besabab khamakha nahin
Yeh khamakha nahin (3)

Saari –saari raat ka jagna
Khidki pe saar rakhke rote rehna
Ummedon ka jalna bujhna
Paagalpan hain aise tumpe marna
Khali-khali do aankhon mein
Yeh namak, yeh chamak toh khamakha nahin
Khamakha nahin

Fikr rehti hain jo, khamakha nahin
Rikr rehti hain jo, khamakha nahin
Ashq aankhon mein, bhar ke dekhna
Aaina kabhi darr ke dekhna
Yeh bewajah, besabbaab, khamakhan nahin
Deewangi sahi, yeh khamakhan nahin
Haan junoon toh hain, par khamakha nahin

Sada bhawani tahi jai ho pyara
Gauri putra ganesh
Paanch dev raksha kare ho pyara
Brahma Vishnu Mahesh
Kasam yo desh mera se harya bharya Haryana
Seedhe sade log ade ke dudh dahi ka khana
Bolo ram ram ram…

Singer: Vishal Bharadwaj & Prem Dehati; Lyrics : Gulzar ;  Music: Vishal Bharadwaj; Movie: Matru ki Bijli Ka Mandola