Thursday, 17 January 2013

Khamakhan Nahin

Halki halki aahen bharna
Takiyen pe saar deke dheme dheme
Sargoshi mein baaten karna
Pagalpan hain aise tumpe marna
Ubla ubla kyun lagta hain
Yeh badan yeh jalan toh khamakha nahin
Khamakha nahin
Yeh khalish jo hain, woh khamakha nahin
Haan tapish toh hain, par khamakha nahin

Jo nahin kiya karke dekhna
Saans rokke marke dekhna
Yeh bewajah, besabab khamakha nahin
Yeh khamakha nahin (3)

Saari –saari raat ka jagna
Khidki pe saar rakhke rote rehna
Ummedon ka jalna bujhna
Paagalpan hain aise tumpe marna
Khali-khali do aankhon mein
Yeh namak, yeh chamak toh khamakha nahin
Khamakha nahin

Fikr rehti hain jo, khamakha nahin
Rikr rehti hain jo, khamakha nahin
Ashq aankhon mein, bhar ke dekhna
Aaina kabhi darr ke dekhna
Yeh bewajah, besabbaab, khamakhan nahin
Deewangi sahi, yeh khamakhan nahin
Haan junoon toh hain, par khamakha nahin

Sada bhawani tahi jai ho pyara
Gauri putra ganesh
Paanch dev raksha kare ho pyara
Brahma Vishnu Mahesh
Kasam yo desh mera se harya bharya Haryana
Seedhe sade log ade ke dudh dahi ka khana
Bolo ram ram ram…

Singer: Vishal Bharadwaj & Prem Dehati; Lyrics : Gulzar ;  Music: Vishal Bharadwaj; Movie: Matru ki Bijli Ka Mandola

No comments:

Post a Comment