Kyun Main Jagoon
Mujhe yunhin karke khwabon se juda, Jane kahan chupke baitha hain khuda
Janu na main kab hua, Khud se gumshuda
Kaise jiyu, ruh bhi mujhse hain juda
Kyun meri rahen mujhse poonche ghar kahan hain
Kyun mujhse aake, dastak poonche dar kahan hain
Rahen aise jinki manzil hi nahin
Dhondo mujhe ab main rehta hoon wahin
Dil hain kahin aur dhadkan hain kahin
Ssansen hain magar kyun zinda main nahin
Ret bani hathon se yun beh gayi,
Taqdeer meri bikhri har jagah
Kaise likhyun phir se nayin dastan
Gam ki syahi dikhti hain kahan
Rahen jo chuni hain mere thii razza
Rehta hoon phir kyun khud se hi khafa
Aise bhi hue thii mujhse kya khata
Tune jo mujhe di jeene ki saazaa
Bande tere maathe pe hain jo khiche
Bas chand lakeeron jitna hain jahan
Aanson mujhko mita keh rahe
Rabb ka hukkum na mitta hain yahan
Rahen aise jinki manzil hi nahin
Dhondo mujhe ab main rehta hoon wahin
Dil hain kahin aur dhadkan hain kahin
Ssansen hain magar kyun zinda main nahin
Kyun main jagoon aur wooh sapne booo rahan hain
Kyun mera rab yun
Aankhen khole so raha hain
Kyun main jagoon
No comments:
Post a Comment