Thursday, 19 July 2012

Chingare Koe Bhadke

Chingare koe bhadke toh sawan use bujhaye
Sawan jo agan lagaye, use kaun bujhaye
Patjhad jo bag ujade, who bag bahar khilaye
Jo bag bahar mein ujde use kaun khilaye?

Hum se mat puncho kaise, mandir tuta sapno ka,
Logon ki baat nahin hain, yeh kissa hain aapno ka,
Koe dushman teiss lagaye, toh meet jiya bahalaye
Man meet jo ghav lagaye, use kaun mitaye?

Naa jane kya ho jata, jane hum kya kar jaate
Peete hain toh zinda hain, na peete toh mar jate
Duniya jo pyaasa rakhe, toh madira use bujhaye
Madiraa jo pyaas lagaye, use kaun bujhaye?

Maana toofan kea age, nahi chalta zor kisika,
Maujon ka dosh nahin hain, yeh dosh hain aur kisi ka
Majhdhar mein naiyan  dube, toh majhi paar lagaye
Majhi jo nav duboye, use kaun bachaye?

Singer: Kishore Kumar; Lyrics: Aanad  Bakshi; Music: R.D. Burman

No comments:

Post a Comment